Welcome to SmileeNet.Com. You are on the Main page of our SMS Shayari section.
Palko mein qaid kuch sapne hai,
Kuch begaane kuch apne hai,
Najaane kya kashish hai in khayalon mein,
Aap humse durr hokar bhi kitne apne hai!
Chahat par aitbaar na raha,
Khushi kya hai yeh ehsaas na raha..
Dekha hai in aankhon ne tutate sapno ko,
Isliye ab kisi aur ka intezaar na raha!
Zindagi safar ka hai silsila,
Koi bichad gaya koi mil gaya,
Jinko maanga humne raat din duaon mein,
Woh bin maange kisi aur ko mil gaya!
Khuda jaane mohabbat ke kya dastur hote hai,
Hum jinhe chaahte hai woh humse durr hote hai!
Kisi beqadr pe itna pyaar kyon aata hai,
Milne ke baad woh bichad kyon jaata hai..
Chaahte hai hum jise zindagi ki tarah..
Phir bhi humare hisse mein intezaar kyon aata hai!
Woh mausam,woh bahaar bhi uske saamne kam thii,
Uske saath guzra woh waqt,woh fiza bhi num thii..
Par kya kare aye zaalim,
Apne haathon mein he mohabbat ki lakeer kam thii.
Humse durr hokar bhi humare paas ho tum,
Is suni zindagi ki aas ho tum,
Kaun kehta hai hum saath nahi hai,
Saanson ki tarah dil ke aaspaas ho tum!
Murjha gaye phool par bahaar wahi hai,
Durr hai aapse magar pyaar wahi hai,
Jaante hai hum mil nahi sakte..
Magar in aankhon mein intezaar wahi hai!
Zubaan se naam lete hai,
Aankhon se aansu chalak jaate hai,
Kabhi hazaar baatein kiya karte thay..
Aaj ek baat ke liye taras jaate hai!
Tumhaara ishq tumhaari wafaa he kaafi hai,
Tamaam umr yeh aasra he kaafi hai,
Jaha kahi milo milkar muskura dena..
Khushi ke liye yeh aasra he kaafi hai!
Is dil mein aa saka na koi,
Is dil ko chura saka na koi,
Kasur is mein kisi aur ka nahi,
Aapke siwa is dil mein jagah bana saka na koi!
Yeh dua hai tumhari zindagi sawar jaaye,
Har nazar mein tumhe pyaar nazar aaye,
Tumhe jiski talaash hai,
Khuda kare woh khud tumhari talaash mein aaye!
Pyar ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil mein lagi aag ko bujhaya nahi jaata.
Laakh judaai hone par bhi,
Zindagi ka pehla pyaar bhulaya nahi jaata!
Yaadon ka sirf silsila reh gaya,
Khuda jaane unse humara kya rishta reh gaya.
Ek chaand chup gaya jaane kaha,
Ek sitara usse dhundta reh gaya!
Woh dil kya jo milne ki dua na kare,
Tujhe bhool kar jiyu Khuda na kare.
Rahega tera pyaar meri zindagi bankar,
Yeh baat aur hai ki zindagi wafaa kare na kare!